patthar mujhe sharminda-e-guftar na kar de
uncha meri aawaz ko diwar na kar de
majbur-e-suKHan karta hai kyun mujh ko zamana
lahja mere jazbaat ka izhaar na kar de
zanjir samajh kar mujhe toDa to hai tu ne
ab tujh ko pareshan meri jhankar na kar de
chalta hun to paDte hain qadam mere hawa par
Darta hun hawa chalne se inkar na kar de
rah jaun na main apne hi qadmon se kuchal kar
pamal mujhe KHud meri raftar na kar de
main KHud ko miTa kar tera shahkar bana hun
nilam mujhe tu sar-e-bazar na kar de
har sans nae zaKHm lagati hai 'muzaffar'
TukDe mere ek roz ye talwar na kar de

Ghazal
Patthar mujhe sharminda-e-guftar na kar de
Muzaffar Warsi