patthar ki nind soti hai basti jagaiye
aab-e-hayat sa koi eajaz laiye
jal jaiye maqam pe apne misal-e-shama
apne badan ki lau se na ghar ko jalaiye
ek nahr kaTiye kabhi sine se chand ke
daman-e-shab mein nur ka dhaara bahaiye
aa to gae hain aap KHaridar ki tarah
kuchh tan ko KHarch kijiye jaan ko bhunaiye
jin ke dhuen se phailti hai aafiyat ki lau
aise bhi kuchh charagh sar-e-shab jalaiye
aabaad kijiye isi ghar mein junun ko aap
is ghar mein kya nahin hai jo sahra ko jaiye
phuTa hai jis se raat ke sine mein mahtab
ek bij aisa zulmat-e-dil mein ugaiye
chahat mein un ki bit gai zindagi 'samad'
KHud ko bhi pyar kijiye KHud ko bhi chahiye

Ghazal
Patthar ki nind soti hai basti jagaiye
Samad Ansari