patthar ki bhuri oT mein lala khila tha kal
aaj us ko noch le gain wo bachchiyan janab
aankhon mein raushni ki jagah tha KHuda ka nam
panw tuDa ke mar rahe jate kahan janab
hum barg-e-zard sabz KHalaon mein chhup gae
hum ko hawa-e-sard thi sang-e-giran janab
bose ke dagh se hai munawwar jabin magar
jalti paDi hai shama si pyasi zaban janab
kali zamin pe chhanti darichon se raushni
bahar to jhankiye hai anokha saman janab
nili chamakti dhup to bikti nahin kahin
hum kis ke hath bech den lafz-o-bayan janab

Ghazal
Patthar ki bhuri oT mein lala khila tha kal
Shamsur Rahman Faruqi