patthar ke ratjage meri palkon mein gaD ke
rakh din tere firaq ne aankhen ujaD ke
itni tawil apni masafat nahin magar
mushkil-mizaj hote hain raste pahaD ke
aankhon se KHadd-o-KHal nikale na ja sake
har-chand phenk di teri taswir phaD ke
ye bholpan nahin hai ki suraj ke aas-pas
rakkhe gae hain daere kanTon ki baD ke
miTTi mein mil gai hai tamanna milap ki
kuchh aur gir paDe hain kinare daraD ke
be-mehr mausamon ko nahin jaanta abhi
KHush hai jo saeban se talluq bigaD ke
patthar ke jism mein tujhe itna kiya talash
'mansur' Dher lag gae ghar mein kabaD ke

Ghazal
Patthar ke ratjage meri palkon mein gaD ke
Mansoor Aafaque