patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
tum shahr-e-mohabbat kahte ho hum jaan bacha kar aae hain
but-KHana samajhte ho jis ko puchho na wahan kya haalat hai
hum log wahin se lauTe hain bas shukr karo lauT aae hain
hum soch rahe hain muddat se ab umr guzaren bhi to kahan
sahra mein KHushi ke phul nahin shahron mein ghamon ke sae hain
honTon pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai 'fakir'
hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aae hain
Ghazal
Patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
Sudarshan Faakhir