patthar ho ki faulad ho Darne ka nahin main
ab surat-e-aina bikharne ka nahin main
jo zat ka meri hai KHala chiz digar hai
jo bhar bhi gae zaKHm to bharne ka nahin main
dekhen na nazar bhar ke mujhe der talak aap
jo chaDh gaya nazron mein utarne ka nahin main
ki baada-kashi tark-e-maabid ke muqabil
ab is se ziyaada to sudharne ka nahin main
didar tera mere liye rahat-e-jaan hai
be-dekhe tujhe jaan se guzarne ka nahin main
ab jurm-e-mohabbat ki mile koi bhi padash
taftish ke dauran mukarne ka nahin main

Ghazal
Patthar ho ki faulad ho Darne ka nahin main
Mohammad Abid Ali Abid