patte patte se naghma-sara kaun hai
ai hawa tere andar chhupa kaun hai
phul shabnam shafaq chandni kahkashan
parda-e-husn se jhankta kaun hai
maslahat-kosh wo to nahin tha magar
nutq ko hath se rokta kaun hai
itne badle hue hain ki hairat mein hun
mere pichhe mein un se mila kaun hai
na-umidi ne mujh ko muwahhid kiya
ab KHuda ke siwa aasra kaun hai
ye 'tapish' ki ana hai nahin to yahan
gham ko hans hans ke yun jhelta kaun hai
Ghazal
Patte patte se naghma-sara kaun hai
Abdussamad ’Tapish’