paTre dhare hain sar par dariya ke paT wale
aate hain kis ada se is munh pe ghaT wale
chaska paDa hai jab se shirin-labon ka us ke
kaise lage rahen hain bose ki chaT wale
dariya pe tu nahane jaya na kar ki nadan
wan ghat mein hain teri kai dhobi paT wale
kuche mein tere zalim az-bahr-e-dad-KHwahi
ye zulm hai to lakhon aawenge ghaT wale
bazar-e-misr mein wo jin jin ko chhil gaya hai
ek soch mein hain baiThe ab tak wo haT wale
dekhe na koi un ko ba-dida-e-haqarat
KHazposhon par giran hain albatta TaT wale
main ne raqib ko kal baaton mein KHub kaTa
chuken hain 'mushafi' kab hain wo jo kaT wale
Ghazal
PaTre dhare hain sar par dariya ke paT wale
Mushafi Ghulam Hamdani