pata raqib ka de jam-e-jam to kya hoga
wo phir uThaenge jhuTi qasam to kya hoga
ada samajhta rahunga tere taghaful ko
tawil ho gai sham-e-alam to kya hoga
jafa ki dhup mein guzri hai zindagi sari
wafa ke nam pe jhelenge gham to kya hoga
abhi to charKH sitam hum pe Dhae jata hai
zamin na hogi jo zer-e-qadam to kya hoga
main Dar raha hun ki zahid ki KHushk baaton se
sarab ban gaya bagh-e-iram to kya hoga
KHud apni mauj-e-nafas se ye zahidan-e-kiram
bujha rahe hain charagh-e-haram to kya hoga
Ghazal
Pata raqib ka de jam-e-jam to kya hoga
Khvaja riyazuddin atash