pas-manzaron ke samne manzar hi rah na jaen
sinon ke raaz sinon ke andar hi rah na jaen
kahne ki baat aur hai karne ki baat aur
yani ye soch lijiye kah kar hi rah na jaen
dekho wahi to waqt nahin aa raha hai phir
phir aaj apne sath bahattar hi rah na jaen
ek dusre ko ye jo haDap kar rahe hain hum
socho zamin na ho to samundar hi rah na jaen
is bar gir paDi hain chhaten bhi makan ki
is bar hath hath pe dhar kar hi rah na jaen
bhai dua ka shish-mahal bhi hai koi chiz
hathon mein bad-duaon ke patthar hi rah na jaen
kuchh kar ke ai 'nishat' dikhao wagarna phir
afrasiyab-o-KHizr-o-sikandar hi rah na jaen
Ghazal
Pas-manzaron ke samne manzar hi rah na jaen
Irtiza Nishat