pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimana kahte hain
ye ek bhula hua par aaj hum afsana kahte hain
koi KHun-e-tamanna ho jhalak aata hai aaankhon mein
isi ko ittihad-e-baada-o-paimana kahte hain
tabahi dil ki dekhi hai jo hum ne apni aaankhon se
ho ab kaisi hi basti hum use virana kahte hain
fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi
jale jo aag mein apni use parwana kahte hain
jafa par sabr sikha hai wafa par jaan jati hai
yahi hai aur kis ko tohmat-e-mardana kahte hain
tumhaari zulf-e-pechan mein raha kyun-kar dil-e-wahshi
tuDa le jae jo zanjir use diwana kahte hain
maaz-allah tera husn teri bazm-e-ishrat mein
ye wo mahfil hai jis mein shama ko parwana kahte hain
yahan to jaan tak de di 'nazar' padash-e-ulfat mein
magar bedad-gar baqi abhi jurmana kahte hain
Ghazal
Pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimana kahte hain
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi