pas-e-qafila jo ghubar tha koi us mein naqa-sawar tha
abhi gard-baad ho uD gaya wo ajab tarah ka ghubar tha
main nigah-e-pak se dekhe tha tere husn-e-pak ko us pe bhi
mere ji mein KHwahish-e-wasl thi mere dil mein bos-o-kanar tha
dil-e-KHasta pahlu mein rah gaya mere sard ho ke to kya ajab
ki kisi ki safi-e-shast ka ye KHadang-KHurda shikar tha
meri be-kasi pe teri nazar na paDi jab ai but-e-ishwa-gar
wo jo tera ahd-e-shabab tha so wo ain josh-e-bahaar tha
main mazar ko bhi miTa diya main ghubar ko bhi uDa diya
ki teri safa-e-mizaj par meri KHak se bhi ghubar tha
is ada se tir lagawe tha tu ba-ru-e-tuda-e-musht-e-gul
ki falak ba-tegh-o-kaman bhi tera mahw-e-kund-o-kadar tha
ye junun ki uqda-kushaiyan koi bhulta hun main 'mushafi'
ki ba-ru-e-har-sar-e-abla wahi naKHun-e-sar-e-KHar tha
Ghazal
Pas-e-qafila jo ghubar tha koi usMein naqa-sawar tha
Mushafi Ghulam Hamdani