pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain
koi mahfil ho hum us ko teri mahfil samajhte hain
baDe hoshiyar hain wo jin ko sab ghafil samajhte hain
nazar pahchante hain wo mizaj-e-dil samajhte hain
wo KHud kaamil hain mujh naqis ko jo kaamil samajhte hain
wo husn-e-zan se apna hi sa mera dil samajhte hain
samajhta hai gunah rindi ko tu ai zahid-e-KHud-bin
aur aise zohd ko hum kufr mein daKHil samajhte hain
samajhta hai ghalat laila ko laila qais diwana
nazar wale to laila ko bhi ek mahmil samajhte hain
saDi diwana saudai jo chahe so kahe duniya
haqiqat-bin magar 'majzub' ko aaqil samajhte hain
Ghazal
Pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub