pas-e-ghubar madad mangte hain pani se
ye log tang hain miTTi ki hukmarani se
ye hath sukh ke jhaDne ko ho gae lekin
main dast-kash na hua teri mehrbani se
phir us ke baad phalon mein miThas aai nahin
shajar ne kaam liya tha ghalat-bayani se
kisi jazire pe shayad khula ye bagh koi
mahak gulab ki aati hai bahte pani se
main tere wasl ka lamha bacha sakun shayad
mera talluq-e-KHatir hai raegani se
nawah-e-shahr mein phaili hai maut ki KHushbu
magar ye log ki lagte hain jawedani se
tere visal ke mausam mein ustuwar hua
koi ajab sa talluq jahan-e-fani se
tu mil gaya hai to achchha hua wagarna dost
kise gharaz thi mohabbat mein kaamrani se
pahunch chuke hain mohabbat mein us jagah hum log
jahan yaqin nahin aata yaqin-dahani se
Ghazal
Pas-e-ghubar madad mangte hain pani se
Abbas Tabish