pas-e-ghubar-e-talab KHauf-e-justuju hai bahut
rafiq-e-rah magar un ki aarzu hai bahut
laraz ke TuT hi jae na aaj barg-e-badan
lahu mein qurb ki garmi ragon mein lu hai bahut
ulajh gaya hai wo KHwahish ke jal mein yani
fareb-e-rang-e-hawas ab ke du-ba-du hai bahut
kaTa-phaTa sahi malbus-e-kohnagi na utar
tere liye yahi diwar-e-abru hai bahut
mizaj-e-waqt ki taswir ban gae hum log
labon pe barf jami hai dilon mein lu hai bahut
hara-bhara nazar aata hai yun to wo 'aKHtar'
dayar-e-dil mein magar qaht-e-rang-o-bu hai bahut
Ghazal
Pas-e-ghubar-e-talab KHauf-e-justuju hai bahut
Sultan Akhtar

