اردو हिंदी
Parwaz ka tha shauq mujhe aasman tak | Shaahi Shayari
parwaz ka tha shauq mujhe aasman tak

Ghazal

Parwaz ka tha shauq mujhe aasman tak

Taufeeq Sagar

;

parwaz ka tha shauq mujhe aasman tak
bijli giri to jal gae kheton ke dhan tak

kachche gharon ke ganw mein barsat rah gai
pakki saDak bani bhi to pakke makan tak

kaise bataun tum ko olympic mein kya hua
meri to apni dauD hai ghar se dukan tak

parwardigar mere gunahon ko baKHsh de
mujh ko sunai deti nahin ab azan tak

bachche ne koela jo churaya saza mili
un ki sunao bech gae jo khadan tak

aaya wo muskura ke mera zaKHm le gaya
ek shaKHs jis pe main ne diya tha na dhyan tak

faslon ka KHwab bhuk ki aankhon mein rah gaya
ganw ke khet kha gae lekin kisan tak

ek laDki apne apne aap mein ghuT ghuT ke mar gai
ghar tak KHabar gai na kabhi KHandan tak

is bar baal-o-par hi na kaTe gae faqat
qainchi kutar gai hai mera aasman tak

ghar ghar mein jhankti hai yahan tisri nazar
rahti hai koi baat kahan darmiyan tak

'sagar' ye faisla bhi koi faisla hua
jis mein liya gaya na ho mera bayan tak