اردو हिंदी
Parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya | Shaahi Shayari
parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya

Ghazal

Parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya

Zaheer Kashmiri

;

parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya
lekin jamal-e-shama gunahgar ban gaya

hum dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paDe
har phul dast-e-shaKH mein talwar ban gaya

imshab tulu-e-yar ka manzar ajib tha
baam-e-buland matla-e-anwar ban gaya

ai mahwashan-e-shahr meri bandagi karo
main KHud sanwar ke aks-e-ruKH-e-yar ban gaya

wo daur the nazar pe hijab-e-ghurur tha
wo chal diye main dida-e-bedar ban gaya

jab KHamushi hi bazm ka dastur ho gai
main aadmi se naqsh-ba-diwar ban gaya

mahsus kar raha hun ki tanha hun in dinon
har shahar garche misr ka bazar ban gaya

jis ham-nafas ko mujh se mata-e-wafa mili
wo ham-nafas mera hi KHaridar ban gaya