partaw-e-saghar-e-sahba kya tha 
raat ek hashr sa barpa kya tha 
kyun jawani ki mujhe yaad aai 
main ne ek KHwab sa dekha kya tha 
husn ki aankh bhi namnak hui 
ishq ko aap ne samjha kya tha 
ishq ne aankh jhuka li warna 
husn aur husn ka parda kya tha 
kyun 'majaz' aap ne saghar toDa 
aaj ye shahr mein charcha kya tha
        Ghazal
Partaw-e-saghar-e-sahba kya tha
Asrar-ul-Haq Majaz

