pariyon aisa rup hai jis ka laDkon aisa nanw
sare dhande chhoD-chhaD ke chaliye us ke ganw
pakki saDkon wale shahr mein kis se milne jaen
haule se bhi panw paDe to baj uThti hain khaDanw
aate hain khulta darwaza dekh ke ruk jate hain
dil par naqsh biTha jate hain yahi ThiTakte panw
pyasa kawwa jangal ke chashme mein Dub mara
diwana kar deti hai peDon ki mahakti chhanw
abhi nai bazi hogi phir se patta Dalenge
koi baat nahin jo haar gae hain pahla danw
Ghazal
Pariyon aisa rup hai jis ka laDkon aisa nanw
Zafar Iqbal