parinde khet mein ab tak paDaw Dale hain
shikari aaj tamasha dikhane wale hain
hawaen tez hain aandhi ne par nikale hain
bahut udas patangen uDane wale hain
kamand phenk na dena zamin ki wusat par
nae jazire samundar ne phir uchhaale hain
chalo ke dekh len 'ghaalib' ke ghar ki diwaren
nai ruton ne bayaban mein Dere Dale hain
gali gali mein chamakti hai dard ki KHushbu
hamare zaKHm mahakte hue ujale hain
ab apne aap se milne ki justuju kya ho
tumhaare shahr ke sab aaine to kale hain
jo log waqai munsif-mizaj hain 'anjum'
suna hai aaj wo chehre badalne wale hain

Ghazal
Parinde khet mein ab tak paDaw Dale hain
Farooq Anjum