parinde ja chuke hain kab ke ghonslon ko bhi
batae rasta koi hum musafiron ko bhi
main jaanta hun ki ek din hamein bichhaDna hai
sambhaal rakkha jabhi to hai aansuon ko bhi
abhi to dur hai manzil ki kaTni hain abhi
mili jo wirse mein hain un masafaton ko bhi
kahan wo waqt hawaon pe hukm chalta tha
aur ab ye haal taraste hain aahaTon ko bhi
ajab hain hum ki banana makan kachcha hi
aur ehtimam se ghar lana barishon ko bhi
sabhi lage hain jo paiwand karne shaKHon ko
kisi ne dekha hai dimak-zada jaDon ko bhi
Ghazal
Parinde ja chuke hain kab ke ghonslon ko bhi
Jaleel Haider Lashari