parinde be-qarari mein
musalsal barf-bari mein
hamin kyun zad mein aate hain
hamesha chand-mari mein
hamari qaum zinda hai
faqat mardum-shumari mein
bahut nuqsan hota hai
ziyaada hoshiyari mein
kami kuchh rah gai hai kya
hamari jaan-nisari mein
qalam faiyyaz hota tha
'talab' be-roz-gari mein

Ghazal
Parinde be-qarari mein
Khurshid Talab