اردو हिंदी
Parinda aaine se kya laDega | Shaahi Shayari
parinda aaine se kya laDega

Ghazal

Parinda aaine se kya laDega

Imran Aami

;

parinda aaine se kya laDega
fareb-e-zat mein aa kar marega

mohabbat bhi baDi lambi saDak hai
barhana-pa koi kitna chalega

hamare jagne tak dekhna tum
hamare KHwab ka charcha rahega

hamari KHak se duniya bani thi
hamari rakh se ab kya banega

ye chingari bhaDak uTThegi ek din
miyan ye ishq hai ho kar rahega

tujhe duniya ki aadat paD gai hai
akela rah gaya to kya karega

main tere sath mar sakta hun lekin
tu mere sath kya zinda rahega

abhi se soch lo KHana-badosho
hamari rah mein sahra paDega

samundar ne rawani sikh li hai
mere dariya tumhaara kya banega