pari uD jaegi aur rajdhani KHatm hogi
ye aankhen band hote hi kahani KHatm hogi
kisi sanduq mein dimak-zada KHat dekhte hi
kaha dil ne ab us ki har nishani KHatm hogi
use ye shauq gahri dhund lipTe har shajar se
mujhe ye fikr kaise bad-gumani KHatm hogi
KHabar kab thi tilism aisa hai is bhigi nazar mein
yakayak jism se KHun ki rawani KHatm hogi
zamin par aasman hote parinde jaan lenge
sitaron par bhi aaKHir hukmarani KHatm hogi
hamari rah mein baiThegi kab tak teri duniya
kabhi to is zuleKHa ki jawani KHatm hogi
KHuda jaane kahan TuTe masafat ka tasalsul
par itna jaante hain be-makani KHatm hogi
Ghazal
Pari uD jaegi aur rajdhani KHatm hogi
Tauqeer Taqi