pari safar mein ramaq tak nahin gai hogi
mujhe pata hai dhanak tak nahin gai hogi
ye aasman jo mamul ke mutabiq hai
zamin ki chiKH falak tak nahin gai hogi
nazar mein aati hui tirgi KHalaon beach
ye raushni bhi chamak tak nahin gai hogi
use KHabar hai tabiat hi meri aisi hai
mujhe yaqin hai wo shak tak nahin gai hogi
ye lafz yunhi pighalte rahenge kaghaz par
ye aag shahr-e-KHunak tak nahin gai hogi
phir aasman ka manzar jala hua dekha
kisi ki aankh parakh tak nahin gai hogi
wo phir KHamosh nigahen liye hue 'basit'
meri kisi bhi jhalak tak nahin gai hogi
Ghazal
Pari safar mein ramaq tak nahin gai hogi
Vasaf Basit