pareshani hai ji ghabra raha hai
koi dhime suron mein ga raha hai
kahun kya haal-e-nakaam-e-mohabbat
tamannaon se ji bahla raha hai
koi shab ki KHamoshi mein hai giryan
tasawwur mein koi samjha raha hai
tasawwur ki ye maqsad-afrini
main samjha koi sach-much aa raha hai
jo rasta KHuld mein nikla hai ja kar
wo dozaKH se nikal kar ja raha hai

Ghazal
Pareshani hai ji ghabra raha hai
Afsar Merathi