اردو हिंदी
Pareshan kyun na ho jawe nazara | Shaahi Shayari
pareshan kyun na ho jawe nazara

Ghazal

Pareshan kyun na ho jawe nazara

Mushafi Ghulam Hamdani

;

pareshan kyun na ho jawe nazara
is aaraish ne dil par naqsh mara

ye mashshata bala-e-taza lai
mujad kar diya sar us ka sara

hazaron choTiyan nannhi thin aur baal
na kyun taKHt apna luTwa de hazara

gudaz aahan-dilon ko husn jab de
na howe aab kyunkar sang-e-KHara

kahin dekha hai is haiat ka mashuq
nazar kijo muslimanan! KHuda-ra

bale ai 'mushafi' digar che goyam
ada-e-mu-e-mani kisht mara