pareshan karne walon ko pareshan kaun dekhega
hamare baad ye rang-e-gulistan kaun dekhega
ba-juz mere ye dilchaspi ka saman kaun dekhega
jala kar dil ke daghon ko charaghan kaun dekhega
kise gulshan se itna ishq hai meri tarah gulchin
qafas mein rakh ke taswir-e-gulistan kaun dekhega
use rangin use sad-chaak hona chahiye warna
tera daman mera chaak-e-gareban kaun dekhega
bajae saghar-e-mai tere maiKHane mein ai saqi
chalen jab botalen har-dam KHumistan kaun dekhega
chaman KHud baghban pamal karta hai to hairat kya
chaman to us ne dekha hai bayaban kaun dekhega
hakim-e-waqt hun main hi agar gulshan se uTh jaun
to phir ai baghban nabz-e-bahaaran kaun dekhega
bacha kar us ko rakkha hai kaleje mein ki phir tujh ko
jo chashm-e-abla phuTi pasheman kaun dekhega
duaen kyun na dun har dam nigah-e-naz-e-qatil ko
jo ye nashtar na ho su-e-rag-e-jaan kaun dekhega
ghanimat ye bhi hai is daur mein phir warna ai hamdam
janab-e-'barq' sahab sa suKHan-dan kaun dekhega

Ghazal
Pareshan karne walon ko pareshan kaun dekhega
Rahmat Ilahi Barq Aazmi