اردو हिंदी
Pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata | Shaahi Shayari
pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata

Ghazal

Pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata

Imran Saghar

;

pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata
kisi se haal-e-dil apna sunaya bhi nahin jata

wo aa jae to ye bhi kah nahin sakta Thahar jao
agar wo ja raha ho to bulaya bhi nahin jata

zaban KHamosh rahti hai par aankhen bol deti hain
in aankhon se to raaz-e-dil chhupaya bhi nahin jata

sabhi 'imrran' ki surat nahin hote hain duniya mein
har ek insan ko dil mein basaya bhi nahin jata

koi taqat mujhe marne nahin deti hai ai 'sagar'
main marna chahta hun zahr khaya bhi nahin jata