pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
jo mushkil ab hai ya rab phir wahi mushkil na ban jae
na kar den mujh ko majbur-e-nawa firdaus mein huren
mera soz-e-darun phir garmi-e-mahfil na ban jae
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko
khaTak si hai jo sine mein gham-e-manzil na ban jae
banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko
ye meri KHud-nigah-dari mera sahil na ban jae
kahin is aalam-e-be-rang-o-bu mein bhi talab meri
wahi afsana-e-dumbaala-e-mahmil na ban jae
uruj-e-adam-e-KHaki se anjum sahme jate hain
ki ye TuTa hua tara mah-e-kaamil na ban jae
Ghazal
Pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
Allama Iqbal