اردو हिंदी
Parde parde mein ye kar leti hain rahen kyunkar | Shaahi Shayari
parde parde mein ye kar leti hain rahen kyunkar

Ghazal

Parde parde mein ye kar leti hain rahen kyunkar

Riyaz Khairabadi

;

parde parde mein ye kar leti hain rahen kyunkar
par ho jati hain sine ki nigahen kyunkar

dil mein aane ki nikal aati hain rahen kyunkar
upar uTh jati hain wo nichi nigahen kyunkar

kar liya karte the dil khol ke aahen kyunkar
ab ye rona hai karahen to karahen kyunkar

gudgudane nahin aati hain sar-e-baam tumhein
arsh par khelti hain ja ke ye aahen kyunkar

niklen ghunghaT mein ye mizhgan ke jo niklen bhi kabhi
shoKH ho jati hain sharmili nigahen kyunkar

tu bhi jaane ki mila chahne wala tujh ko
tu bata de tere sadqe tujhe chahen kyunkar

kya KHabar hai tujhe o chain se sone wale
ki dam-e-sard bana karti hai aahen kyunkar

tur walo se lab-e-baam hain aane wale
dekhen laDti hain nigahon se nigahen kyunkar

shauq idhar sharm udhar baat nai raat nai
dekhen milti hain nigahon se nigahen kyunkar

ye umangen ye tarangen ye jawani ye shabab
tauba kar ke ye batao ki nibahen kyunkar

sharm ke putle ko aa jati hai kyunkar shoKHi
bijliyan banti hain sharmili nigahen kyunkar

hum 'riyaz' auron se KHuddar siwa hain lekin
rah ke mashuqon mein hum waza nibahen kyunkar