parde parde mein bahut mujh pe tere war chale
saf ab halq pe KHanjar chale talwar chale
duri-e-manzil-e-maqsad koi hum se puchhe
baiThe sau bar hum us rah mein sau bar chale
kaun pamal hua us ki bala dekhti hai
dekhta apni hi jo shoKHi-e-raftar chale
be-piye chalta hai yun jhum ke wo mast-e-shabab
jis tarah pi ke koi rind-e-qadah-KHwar chale
chashm o abru ki ye sazish jigar o dil ko nawed
ek ka tir chale ek ki talwar chale
kuchh is andaz se sayyaad ne aazad kiya
jo chale chhuT ke qafas se wo giraftar chale
jis ko rahna ho rahe qaidi-e-zindan ho kar
hum to ai ham-nafaso phand ke diwar chale
phir 'mubarak' wahi ghanghor ghaTaen aain
jaanib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-KHwar chale
Ghazal
Parde parde mein bahut mujh pe tere war chale
Mubarak Azimabadi