parde mein lakh phir bhi numudar kaun hai
hai jis ke dam se garmi-e-bazar kaun hai
wo samne hai phir bhi dikhai na de sake
mere aur us ke beach ye diwar kaun hai
bagh-e-wafa mein ho nahin sakta ye faisla
sayyaad yan pe kaun giraftar kaun hai
mana nazar ke samne hai be-shumar dhund
hai dekhna ki dhund ke is par kaun hai
kuchh bhi nahin hai pas pe rahta hai phir bhi KHush
sab kuchh hai jis ke pas wo bezar kaun hai
yun to dikhai dete hain asrar har taraf
khulta nahin ki sahab-e-asrar kaun hai
'amjad' alag si aap ne kholi hai jo dukan
jins-e-hunar ka yan ye KHaridar kaun hai
Ghazal
Parde mein lakh phir bhi numudar kaun hai
Amjad Islam Amjad