اردو हिंदी
Parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah | Shaahi Shayari
parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah

Ghazal

Parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah

Amjad Islam Amjad

;

parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah
KHushbu na hogi phul ki ghammaz kis tarah

tarz-e-kalam un ka hua tarz-e-KHas-o-am
badlenge ab wo baat ka andaz kis tarah

badla jo us ki aankh ka andaz to khula
karte hain rang phul se parwaz kis tarah

aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi
sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah

wo haq-parast kaise hue maslahat-parast
naghmon se be-libas hue saz kis tarah

aankhon mein mom Dal ke baiThenge kab talak
aainon se chhupaenge ye raaz kis tarah

us ki nazar mein aks-e-talluq kahin nahin
'amjad' hadis-e-shauq ho aaghaz kis tarah