parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun
bagh mein ja ke sarw ko qad ki lachak dikha ki yun
aatish-e-gul chaman ke bich jab hama su ho shola-zan
apne libas-e-surKH ki us ko bhaDak dikha ki yun
jo koi puchhe jaan-e-man shoKHi o jalwa kis tarah
lama-e-barq ki tarah ek jhamak dikha ki yun
shishe ke bich duKHt-e-raz karti hai shoKH-chashmiyan
tu bhi Tuk apni chashm ki us ko bhaDak dikha ki yun
nazren milawe gar koi tujh se kabhi to jaan-e-man
us ke tain tu dur se aankhen tanik dikha ki yun
kabk o tadrau gar karen aage tere KHiram-e-naz
apne KHiram-e-naz ki un ko laTak dikha ki yun
raaton ko tujh se jagna gar koi puchhe 'mushafi'
chasm-e-sitara baz hain us ko falak dikha ki yun
Ghazal
Parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun
Mushafi Ghulam Hamdani