parda raha ki jalwa-e-wahdat-numa hua
ghash ne KHabar na di mujhe kab samna hua
dushman ki dosti ka natija bura hua
KHanjar gale mila to mera sar juda hua
mahshar mein rang-e-chehra-e-zalim hawa hua
sach hai bura hua ki mera samna hua
gulshan se uTh ke mera makan dil mein aa gaya
ek dagh ban gaya hai nasheman jala hua
kya tirgi liye hue aai shua-e-nur
dekha shab-e-firaq azal ka likha hua
ghar dil mein kar chuka hai mera nauha-e-qafas
sayyaad qaid hoga agar main riha hua
jab tak tha main uruj pe tha husn-e-jaan-sitan
phir kuchh KHabar nahin ki mere baad kya hua
kahne ko musht-e-par ki asiri to thi magar
KHamosh ho gaya hai chaman bolta hua
tu jis mein tha wo manzil-e-hasti mein hai zarur
meri fana se dil mera kyun kar fana hua
nind un ki yun uDi hai ki aati nahin kabhi
marne ke baad ab mera nala-rasa hua
sayyaad ka ghar aaj hai jaise chaman tha kal
shayad qafas ka baiThne wala riha hua
taswir meri umr-e-guzishta ki dekh jao
turbat pe ek charagh hi wo bhi bujha hua
apne bhi mujh se KHush na rahe bagh-e-dahr mein
bigDa kiya mujhi se nasheman bana hua
chamka hai kuchh wo jalwa-e-ruKH ho ki dagh-e-ishq
donon dilon mein ek na ek mubtala hua
DhunDe na mil sake mujhe zulmat mein mah-o-sal
ru-e-sahar bhi chashma-e-ab-e-baqa hua
ek umr ho gai ki hai barish mein chashm-e-tar
ab tak na koi naKHl-e-tamanna hara hua
'saqib' KHabar na thi ki falak mein hain gardishen
main aa ke dana-e-dahn-e-asiya hua

Ghazal
Parda raha ki jalwa-e-wahdat-numa hua
Saqib Lakhnavi