اردو हिंदी
Parda hail jo tha kahan hai ab | Shaahi Shayari
parda hail jo tha kahan hai ab

Ghazal

Parda hail jo tha kahan hai ab

Jameel Mazhari

;

parda hail jo tha kahan hai ab
tera jalwa hi darmiyan hai ab

shama kahti rahi jise shab bhar
KHatme par wo dastan hai ab

meri nazron ki ek thakan ke siwa
aur kya chiz aasman hai ab

sabr ka mere imtihan to hua
teri rahmat ka imtihan hai ab

tu bhi meri tarah na ho nakaam
fikr ye rab-e-do-jahan hai ab

kaamyabi ke gur batane lagi
ishq par aql mehrban hai ab

'mazhari' pesh-e-karwan tha kabhi
'mazhari' gard-e-karwan hai ab