اردو हिंदी
Parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule | Shaahi Shayari
parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule

Ghazal

Parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule

Ahmad Fareed

;

parda-e-mahmil uThe to raaz-e-virana khule
raaz-e-virana khule tab ja ke diwana khule

bar-e-haft-aflak bhi is na-tawan shane pe hai
zulf se kahna ki aahista sar-e-shana khule

qamat-e-parwana qadd-e-shama se kam hai abhi
kimiya ho le zara to qad-e-parwana khule

jab tilism-e-aina KHud ho naqab-e-aina
chashm par kaise hijab-e-aina-KHana khule

is qadar mai us ke paimane mein aati jaegi
jis qadar bhi jis pe tah-dari-e-paimana khule

aajizi o ustuwari masti o waraftagi
kis pe ab juz-shama betabi-e-parwana khule

sab pe khulne ki hamein hi aarzu shayad na thi
ek do honge ki hum jin par faqirana khule