parda aankhon se haTane mein bahut der lagi
hamein duniya nazar aane mein bahut der lagi
nazar aata hai jo waisa nahin hota koi shaKHs
KHud ko ye baat batane mein bahut der lagi
ek diwar uThai thi baDi ujlat mein
wahi diwar girane mein bahut der lagi
aag hi aag thi aur log bahut chaaron taraf
apna to dhyan hi aane mein bahut der lagi
jis tarah hum kabhi hona hi nahin chahte the
KHud ko phir waisa banane mein bahut der lagi
ye hua tu ki har ek shai ki kashish mand paDi
magar is moD pe aane mein bahut der lagi
Ghazal
Parda aankhon se haTane mein bahut der lagi
Yasmeen Hamid