parbat parbat ghum chuka hun sahra sahra chhan raha hun
har manzil ke haq mein lekin kafir ka iman raha hun
tere dar par umr kaTi hai phir bhi kya anjaan raha hun
duniya bhar ke sajdon mein apne sajde pahchan raha hun
dur sunahre gumbad chamke lekin gardan kaun jhukae
main to jannat bhi kho kar aazad-manash insan raha hun
dekh meri anmol sharafat luT bhi gaya sharminda bhi hun
jit bhi li iKHlas ki bazi haar bhi apni man raha hun
Ghazal
Parbat parbat ghum chuka hun sahra sahra chhan raha hun
Qateel Shifai