parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai
wo shaKHs sahab-e-fan bhi hai kaamyab bhi hai
jo rup aai ko achchha lage wo apna len
hamari shaKHsiyat kanTa bhi hai gulab bhi hai
hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin
hamare KHun mein ganga bhi hai chanab bhi hai
hamara daur andheron ka daur hai lekin
hamare daur ki muTThi mein aaftab bhi hai
kisi gharib ki roTi pe apna nam na likh
kisi gharib ki roTi mein inqilab bhi hai
mera sawal koi aam sa sawal nahin
mera sawal teri baat ka jawab bhi hai
isi zamin par hain aaKHiri qadam apne
isi zamin mein boya hua shabab bhi hai
Ghazal
Parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai
Kanval Ziai