اردو हिंदी
Paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge | Shaahi Shayari
paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

Ghazal

Paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

Anwar Jalalpuri

;

paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge
mata-e-zindagi ek din hum bhi luTa denge

tum apne samne ki bhiD se ho kar guzar jao
ki aage wale to hargiz na tum ko rasta denge

jalae hain diye to phir hawaon par nazar rakkho
ye jhonke ek pal mein sab charaghon ko bujha denge

koi puchhega jis din waqai ye zindagi kya hai
zamin se ek muTThi KHak le kar hum uDa denge

gila shikwa hasad kina ke tohfe meri qismat hain
mere ahbab ab is se ziyaada aur kya denge

musalsal dhup mein chalna charaghon ki tarah jalna
ye hangame to mujh ko waqt se pahle thaka denge

agar tum aasman par ja rahe ho shauq se jao
mere naqsh-e-qadam aage ki manzil ka pata denge