اردو हिंदी
Paran piritam pe war kar dekho | Shaahi Shayari
paran piritam pe war kar dekho

Ghazal

Paran piritam pe war kar dekho

Nasir Shahzad

;

paran piritam pe war kar dekho
sar se gaThri utar kar dekho

wo yam-e-zat ho ki rud-e-furaat
koi dariya to par kar dekho

pus ki os se badan dho kar
mas ko mushk-bar kar dekho

mushk tha mu-burida hathon se
sar ko kandhon pe bar kar dekho

suno jangal mein panchhiyon ki sada
bahte dariya se pyar kar dekho

oDh kar tan pe tishnagi ki rida
man ko mohan ke dwar kar dekho

ho ke miTTi miTo sajan ke liye
mar ke marqad nikhaar kar dekho

utro bachpan ke nardban se phir
ban mein chiDiyon ko mar kar dekho

karbala ke jari jiyale log
KHud ko un mein shumar kar dekho

marifat kya hai jaan jaoge
is pe tan man nisar kar dekho

lab pe aawaz-e-haq rahe qaem
jang jito ki haar kar dekho

qayas ban-bas sab saphal honge
sada ko sudh singhaar kar dekho

mango shabbir ki shanasai
gham pe mat inhisar kar dekho