parai aag pe roTi nahin banaunga
main bhig jaunga chhatri nahin banaunga
agar KHuda ne banane ka iKHtiyar diya
alam banaunga barchhi nahin banaunga
fareb de ke tera jism jit lun lekin
main peD kaT ke kashti nahin banaunga
gali se koi bhi guzre to chaunk uThta hun
nae makan mein khiDki nahin banaunga
main dushmanon se agar jang jit bhi jaun
to un ki aurten qaidi nahin banaunga
tumhein pata to chale be-zaban chiz ka dukh
main ab charagh ki lau hi nahin banaunga
main ek film banaunga apne 'sarwat' par
aur is mein rail ki paTri nahin banaunga
Ghazal
Parai aag pe roTi nahin banaunga
Tahzeeb Hafi