parai aag mein yun jal-bujhe sharar mere
khule na mujh pe bhi ahwal beshtar mere
hai zard rengte sayon ki zad mein shaKH-e-gulab
tum aae ho bhi to kis rut mein aaj ghar mere
saza wajud se bhi qabl ho chuki maqsum
KHabar na rakh meri is darja be-KHabar mere
chhaton pe saya-kunan bel jal gai hogi
sulag uThe hain kuchh is taur baam-o-dar mere
hamare beach sarabon ka ek rishta tha
kahan bichhaD gae sahra mein hum nazar mere
wo rakh banti hui gunj mein sitara-bar
sirhane kaun pareshan tha raat-bhar mere
utar rahi thi kiran barf ki chaTanon par
chala gaya wo mujhe KHwab saunp kar mere
guzar gai shab-e-yalda to ye hua malum
surang par bhi dushman the ham-safar mere
dayar-e-baad-e-junub ai dayar-e-baad-e-junub
tujhe sukun to hai gul bikher kar mere
main taq taq hun 'shahin' kab se shama-ba-kaf
ki zina zina wo utre kabhi to ghar mere
Ghazal
Parai aag mein yun jal-bujhe sharar mere
Wali Alam Shaheen