اردو हिंदी
Parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi | Shaahi Shayari
parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi

Ghazal

Parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi

Khaleel Tanveer

;

parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi
badal gaya hai magar wahshaton ki KHu hai wahi

wo shahr chhoD ke muddat hui chala bhi gaya
had-e-ufuq pe magar chand ru-ba-ru hai wahi

zamana lakh sitaron ko chhu ke aa jae
abhi dilon ko magar hajat-e-rafu hai wahi

qarib tha to sabhi us se be-KHabar the magar
chala gaya hai to mauzu-e-guftugu hai wahi