اردو हिंदी
Par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya | Shaahi Shayari
par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

Ghazal

Par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

Azra Waheed

;

par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya
aane wali chhanw ki KHush-fahmiyan bhi de gaya

saKHt bijon se sunahri baaliyan bhi bhar gain
garm jhonka mausamon ki saKHtiyan bhi de gaya

baadalon ki aas us ke sath hi ruKHsat hui
shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya

ehtisab us ka amal tha us se wo farigh hua
waqt saDkon ko luTi shahzadiyan bhi de gaya

bebasi aur bhuk mein jo hausle deta raha
pyar karne ki mujhe kamzoriyan bhi de gaya

Tahniyan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gain
mausam-e-gul jate jate titliyan bhi de gaya

aasman ne man zamin ki god to bhar di magar
de ke beTe un ko kuchh na-samjhiyan bhi de gaya