par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun
main ne socha tha ki ek dam se fasana ho jaun
aap kahiye to chalun dasht ki sahra ki taraf
aur agar kahiye to dariya ko rawana ho jaun
kyun bhala us ko sar-e-sham ye zahmat di jae
kyun na main KHud hi zara chal ke nishana ho jaun
rabt hai us ko zamane se bahut sunta hun
koi tarkib karun main bhi zamana ho jaun
karwaTen lete hue raat guzar jae to kya
subh hote hi mohabbat ka tarana ho jaun
Ghazal
Par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun
Kausar Mazhari