panchhiyon ke ru-ba-ru kya zikr-e-nadari karun
pankh TuTe hi sahi uDne ki tayyari karun
chhoD jaun apne pichhe aalam-e-hairat tamam
maut ke pahlu mein chhup kar shoabada-kari karun
nachti hai jumbish-e-angusht par wo fahisha
zindagi kah kar jise KHud se riya-kari karun
sabz paudon ki taraf baDhne lagi sarkash hawa
us ke kapDe noch lun thoDi gunah-gari karun
nannhi-munni konpalon ko rang-o-nikhat chahiye
kuchh hawa ka KHauf kuchh mausam ki dildari karun
gungunate shoKH panchhi lahlahati khetiyan
nit-nae KHwabon se nam aankhon mein gul-kari karun
marsiya apna sunaun shahr-e-na-pursan ke beach
pattharon se aur kya ummid-e-gham-KHwari karun
Ghazal
Panchhiyon ke ru-ba-ru kya zikr-e-nadari karun
Abdur Rahim Nashtar