panahen DhunDh ke kitni hi roz lata hai
magar wo lauT ke zulfon ki samt aata hai
sulagti ret hai aur ThanDe paniyon ka safar
wo kaun hai jo hamein rasta dikhata hai
hai intizar mujhe jang KHatm hone ka
lahu ki qaid se bahar koi bulata hai
jo mushkilon ke liye hal talash laya tha
khilaune banT ke bachchon mein muskuraata hai
tamam raste ab ek jaise lagte hain
guman rah mein shaklen badal ke aata hai
shikar dhund ka sahra-naward karte hain
fareb khana kahan dusron ko aata hai
Ghazal
Panahen DhunDh ke kitni hi roz lata hai
Aashufta Changezi